RasoolAllahﷺ farmate hain: "Maine Jannat mein jhank kar dekha to Jannatiyon mein ziyadati gareebon ki nazar aayi, aur maine Dozakh mein jhank kar dekha to Dozakiyon mein kasrat avraton ki nazar aayi." Ye hadees humein do aham baatein samjhati hai: 1. Jannat mein Ghareebon ki Aksariyat Nabi Kareemﷺ ne jab Jannat mein jhank kar dekha to wahan zyadatar ghareeb log the. Iska ye matlab nahi ke sirf ghareeb log Jannat mein jayenge, balki iska maqsad ye hai ke jo log duniya mein tangdasti aur mushkilat ke bawajood Allah ka shukr karte hain, sabr se kaam lete hain, aur apni zindagi deen ke mutabiq guzarte hain, unka ajar Jannat hai. Islam mein ameer hona buri baat nahi, lekin ameer log jab maal ka ghamand karte hain, Allah ki ibadat se door hote hain, ya gareebon ki madad nahi karte, to unke liye musibat hoti hai. Isliye, aksar gareeb log sabr aur shukr ki wajah Se Jannat mein zyada honge. 2. Jahannam mein Auraton ki Kasrat Is hadees ka ye matlab nahi hai ke...